Ik kafir nay ik buzrug say poocha keh “agar app meray 3 sawalon kay jawab dey dein to mein muslman hoo jaoo ga.”

1. Jab har kaam Allah kee marzi say hota hey to insan ko Q zimadar thehratay hein.

2. Jab shetan aag say bana hey to dozakh kee aag us per kesay asar karay gee.

3. Jab Allah tumhein nazar nahi ata to usay Q mantay ho.

Buzarg nay jawab mein usay ik mati ka dhela dey mara, us kafir ko gusa aya to us nay Qazi kee adalat mein app ko talab kar liya.

Qazi nay app say pocha kay app nay is ko dhela kyon mara. App nay jawab diya

1. Meinay dehla isay Allah kee marzi say mara hey yeh mujhay is ka zimadar kyon manta hey?

2. Yeh mati ka bana hey is per mati nay kyon asar kiya?

3. Jab dard isay nazar nahi ati to mehsoos kyon hoti hey or us ka wajood kyon manta hey?

SUBHAN-ALLAH