Us ki ankhon mein mohobat ka sitara hoga
Ek din aye ga woh shaks hamara hoga

Jis ke honay se meri sance chala kerti thi
Kis tarhan us ke bagair apna guzara hoga

Yeh achanak jo ujala sa ho jata hai
Dil ne chupkay se tera naam pukara hoga

Yeh jo pani mein chala aya sunehri sa guroor
Is ne dariya mein kahin payun utara hoga

Kon roota hai yahan rat k sanaton mein
Meray jesa hi koi hijar ka mara hoga